Tuesday, August 10, 2010

Something Crossed my frnd's mind

bhag kar jaaun bhi to kah ,
mera waqt tp ek lamhe me thehara hai .
jaha thak kar gir jaana hai nishchit hai,
meri aatma par ek aisa hi pehra hai..
dekh kar jise ho jaati hai,
aankhen bhi meri band
mera khud ka apna bhi,
ek aisa hi chehra hai.|

roshni bhi jahan kho jaati hai,
andhero me mai milkar
mere kal ka eak nishan,
kuch itna hi gehra hain..
onsh ki bunde bhi jahan per,
angaro si tapti hain
mere astitava ke charo taraf,
eak aisa hi ghana kohra hain..

jahan bebasi per meri,
kisi ko thahako ki jaroorat nahi
meri hi ek muskan ne mujhe,
us mukam pe la choda hain..
gujar rahi meri gindagi puri,
ek lamhe se ladte huye.
khud ke hi tukdo ko maine,
na jaane kitani baar joda hain..

fariyaad ko uthate haath mere,
na jaane kyu ruk jaatein hain.
har masoom ke giratein aansoo mai,
mujhe apne gunah nazar aatein hain..
khud se kiye har waade,
andhere mai yun ghul jaate hai.
jaise kagaz par likhe shabd,
sayahi se dhul jaatein hai..

har ugate suraj ki kiran ,
ek intjaar lekar aati hain.
tapti huyi jami par kadmo ke,
kuch aur nishan chhod jaati hain|..
khud ki taraf badte huye,
mere kadam yu mud jaatein hain .
jaise haath se chhute ret ke kanh,
haoyo mai udh jaatein hain..

nishchit hai is kaid se mai ,
khud kabhi aazad na ho payunga .
nahi di dastak kisi ne,
to mar kar bhi mei yahi rah jaayunga..
mera waqt bandha hai tab tak ,
un kadmo ki aahat ke intzaar main.
shayad kisi masoom ki muskaan bankar he,
mai is kaid se muqt ho payunga..

tab tak meri har saans ko,
us shaam ka intzaar hai.
jab shitiz par ek pal ke liye ,
jami aasama se muil jaaye..
ek arse se jami huyi,
yeh partein kuch pighal jaayein.
meri aatma par lage woh ,
shayah nishaan kuch dhuul jaayein......

No comments:

Post a Comment